Mai galwan ka sanik hu
Ye Garv se kehta hu
<-40* mai bhi rifle tange tehlne nikalta hu
Nazar bhi pade jo dushman ki mere vatan pe
Usee khaak mai milane ki takat rakhta hu..
Lakho h mere jaise rakhwale vatan ke
Sard Hawaye odhe jo sarhad pe khade h dat ke
Kudrat bhi jhuki jiske aage, wo naa hara h
Desh ke majhabi hinsoo ne usee mara h
Kurban kar sab kuch, adig khada wo choti par
Ye desh h mera, mai naa piche hatunga par,
Mai sarhad pe kada hu tum mera angan naa Jalne do..
Mai sarhad pe kada hu, tum mera angan naa jalne do..
Ye hindu- musselman nahi, mere bharat ko bharat hi rehne do.
Mere bharat ko bharat hi rehne do..!!
Lakho kurbaniya iss desh ki shan pe neuchawar h
Maan tirange ki rakhne ko hum maut se bhi aage h
Vatanparasti ke naam sahadaatee kyi h
Meri diwali, idde kurbaan kayi h
Goli jab lage dushman ki, wo lahuluhan sanik hindu ya musalmaan nahi h..
Mere Bharat ka sacha veer h wo, usee bharat ka veer hi rehne do..
Mai bharat ka sainik hu mai dushman se nahi darta
Ho siyachin, galwan ya leh mai kisi khatre pe nahi jhukta
Mujhe daar h to jati mazhabi dango se
Siyasat ke matlabi sapolo se
Afwah ke bawandar mai fase gumrah apno se
Mai bahadur hu magar mai apno se ladd nahi sakta
Mai loc kargil ka rakwala hu mai apne hi ghar ka batwara kar nahi sakta..
H prem agar desh se too khatam karo ye apsi ladaii..
Mai bass yahi kehta hu
Ekta mai hi h bal ye baar baar dohrata hu
Mai galwan ka sanik hu
Ye ghrv se kehta hu.
Garima Saurabh